Thanks for reading faisal's Substack! Subscribe for free to receive new posts and support my work.
Infiradi Mafad Ya Qaumi Baqa? Pakistan Ko Darpesh Andaruni Aur Beruni Sazishon Ka Idrak
- Get link
- X
- Other Apps
Infiradi Mafad Se Qaumi Yak jati Tak:
Pakistan Kab Jaage Ga?
Andaruni Intishar Aur Zati Mafadat Ka Zehar
Pakistan Ke Khilaf Bharuni Sazishein
Dunya ki naqshay par Pakistan ki ahmiyat aur hamari atomi salahiyat hamesha se dushmanon ki ankhon mein khatakti rahi hai. Aaj ke dour mein dushman sirf sarhadon par nahi larta, balkay wo "Fifth Generation Warfare" ke zariye hamare zehnon se khel raha hai. Fake news, social media par manfi propaganda aur logon mein mayusi phailana un sazishon ka hissa hai taake awam ko un ke apne hi idaron ke khilaf khara kiya ja sake. Kya hum ne socha hai ke kyun achanak hamare darmian itni na-itefaqi paida kar di gayi hai?
Hukomat Aur fouja-e-Pakistan: har Taraf Sa
Muqabla kar rahi hai
Yeh baat tasleem karni hogi ke hamari hukomat aur hamari fouj is waqt charon taraf se dushmanon ke nishane par hain. Ek taraf mashriqi sarhad par dushman ki makkari hai, to dusri taraf maghribi sarhad par dehshat gardi ka azab. Hamari afwaj ke jawan apni janein nishawar kar rahe hain taake hum apne gharon mein sukoon se so sakein.
Magar afsos ka muqam yeh hai ke jab hamari fouj aur idaray dushmanon se muqabla kar rahe hote hain, tab hum gharon mein baith kar tanqeed ke teer chala rahe hote hain ya phir sirf is fikar mein hote hain ke aglay mahine ka ration kaise pura hoga. Beshak mashi mushkilat hain, lekin kya hum ne kabhi un sipahiyon ke bare mein socha jo barf-posh paharon par hamari hifazat ke liye kharay hain?
Waqt Ki Pukar: Yak jati Aur Shaour
Ab waqt aa gaya hai ke hum apni ankhon se zati mafad ki patti utaar dein. Hamein samajhna hoga ke:
- Ittehad mein bharkat hai: Jab tak hum aik mutahid qaum nahi banenge, dushman hamari dararon ka faida uthata rahe ga.
- Idaron ki Himayat: Hamein apne hifazati idaron aur hukomati iqdamaat ka sath dena hoga jo mulki salmiyat ke liye uthaye ja rahe hain.
- Sazishon ka Idrak: Social media par aane wali har khabar par yaqeen karne ke bajaye tehqeeq karein ke kahin yeh dushman ka propaganda to nahi.
Ikhtitami Kalmat
Ab waqt hai ke hum kahein: "Pehle Pakistan, Phir Meri Zaat." Agar hum aaj mutahid ho gaye, to duniya ki koi taqat Pakistan ka baal bika nahi kar sakti.
- Get link
- X
- Other Apps
Comments
Post a Comment